jab tumse itefaakan jab tumse itefaakan
meri nazar mili thi
ab yaad aa raha hain
shayad woh janwary thi
tum yu mili dubara
phir maahe farwary mein
jaise ke hamsafar ho
tum raahein zindagi mein
kitna hasi zamana
aaya tha march lekar
raahein wafa pe thi tum
waadon ki torch lekar
baandha jo ahde ulfat
aprail chal raha tha
duniya badal rahi thi
mausam badal raha tha
lekin mayi jab aayi
jalne laga zamana
har shaks ki zabaan par
tha bas yahi fasana
duniya ke darr se tumne
badli thi jab nigaahein
tha june ka mahina
lab pe thi garm aahein
jully mein jo tumne
ki baatchit kutch kam
thein aasman pe baadal
aur meri aankhein purnam
mahe agast mein jab
barsaat hoo rahi thi
bas aasuon ki baarish
din raat ho rahi thi
kutch yaad aa rahi hain
woh maah tha sitambar
bheja tha tumne mujhko
tarke wafa ka letter
tum gair ho rahi thi
octubar aa gaya tha
duniya badal chuki thi
mausam badal chuka tha
jab aa gaya navamber
aaisi bhi raat aayi
mujhse tumhein chudane
sajkar baraat aayi
bekhaif tha december
jasbaat mar chuke thein
mausam tha sard usmain
armaan bikhar gaye the
lekin yeh kya batau ab haal dusra hain
arey woh saal dusra tha yeh saal dusra hain
Tuesday, May 08, 2007
Jab tumse itafaakan
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment