Saqi Ki Har Nigah Pay Bal Kha K P Gaya
Lehroon Say Khailta Hoa Lehra K P Gaya
Ey Rehmat-E-Tamaam Meri Har Khata Muaf
Mein Intiha-E-Shouq (Mein) Say Ghabra K P Gaya
Peta Baghair Izm Yeah Kab Thi Meri Majaal
Dar Pardah Chashm-E-Yaar Ki Shay Pa K P Gaya
Paas Rehta Hai Duur Rehta Hai
Koi Dil Mein Zaroor Rehta Hai
Jab Say Dekha Hai Un Ki Aankhon Ko
Halka Halka Suroor Rehta Hai
Aisay Rehtay Hein Koi Mere Dil Mein
Jaisay Zulmat Mein Noor Rehta Hai
Ub Adam Ka Yeah Haal Hai Har Waqt
Mast Rehta Hai Chuur Rehta Hai
Yeah Joh Halka Halka Saroor Hai
Yeah Teri Nazar Ka Qasoor Hai
K Sharab Peena Sikha Diya
Tairay Pyar Nai, Teri Chaah Nai
Teri Behki Behki Nigaah Nai
Mujhay Ik Sharabi Bana Diya…
Sharab Kaisi ,Khumaar Kaisa
Yeah Sub Tumhari Nawazishein Hein
Pilai Hai Kiss Nazar Say Tu Nai
K Mujhko Apni Khabar Nahi Hai
Teri Behki Behki Nigah Nai
Mujhe Ik Sharabi Bana Dia....
Sara Jahan Must, Jahan Ka Nizam Must
Din Must, Raat Must, Saher Must, Shaam Must
Dil Must, Sheesha Must, Sabu Must, Jaam Must
Hai Teri Chashm-E-Must Say Her Khaas-O-Aam Must
Yoon To Saqi Her Tarah Ki Tere MaiKhane Mein Hai
Woh Bhi Thori Si Jo In Aankhon K Paimane Mein Hai
Sub Samajhta Hoon Teri Ishwa-Kari Ay Saqi
Kaam Karti Hai Nazar Naam Hai Paimane Ka..
Bus!Teri Behki Behki Nigah NaiMujhe Ik Sharabi Bana Diya...
Tera Pyar Hai Meri Zindagi
Tera Pyar Hai Meri Bandagi
Tera Pyar Hai Bas Meri Zindagi,
Tera Pyar Hai Bas Meri Zindagi
Na Namaz Aati Hai Mujhko,
Na Wazoo Aata Hai
Sajda Kar Leta Hoon,
Jab Saamnay Tu Aata Hai
Bus Meri Zindagi Tera Pyar Hai....
Mai Azal Say Banda-E-Ishq Hoon,
Mujhe Zohd-O-Kufr Ka Gham Nahin
Mere Sir Ko Dar Tera Mil Gaya,
Mujhe Ab Talash-E-Haram Nahi
Meri Bandagi Hai Wo Bandagi,
Jo Muqeed-E-Dair-O-Haram Nahi
Mera Ik Nazar Tumhein Dekhna,
Ba Khuda Namaz Se Kam Nahi
Bus Meri Zindagi Tera Pyar Hai...Bus Meri Zindagi Tera Pyar Hai...
Tera Naam Loon Zubaan Say,
Tere Aagay Sir Jhuka Doon
Mera Ishq Keh Raha Hai,
Mein Tujhe Khuda Bana Doon
Tera Naam Mere Lub Per, Mera Tazkara Hai Dar DarMujhay
Bhool Ja'ay Dunya,
Mein Agar Tujhe Bhula Doon
Mere Dil Mein Bus Rahe Hein,
Tere Bepanah Jalwe
Na Ho Jiss Mein Noor Tera,
Woh Charagh Hi Bujha Doon
Jo Pucha K Kis Tarah Hoti Hai Baarish,
Jabeen Se Paseene Ki Boondein Gira Di
Jo Pucha K Kis Tarah Girti Hai Bijli,
Nigahein Milaein Mila Kar Jhuka Dein
Jo Pucha Shab-O-Roz Milte Hain Kaise,
To Chehre Pe Apne Wo Zulfein Hata Deein
Jo Pucha K Naghmon Mein Jaadu Hai Kaisa,
To Meethe Takallum Mein Baatein Suna Deein
Jo Apni Tamanaon Ka Haal Poocha ,
To Jalti Howi Chand Shamein Bhujha Deein
Main Kehta Reh Gaya Khata-E-Mohabbat Ki Achi Saza Di
Mere Dil Ki Dunya Bana Kar Mita Di,
Acha!Mere Baad Kisko Satao Gay,
Mujhe Kis Tarah Se Mitao Gay
Kahan Ja Ke Teer Chalao Gay
Meri Dosti Ki Balaein Lo
Mujhe Haath Utha Kar Duaein Do,
Tumhein Ek Qatil Bana Diya
Mujhe Daikho Khuwahish-E-Jan-E-Jaan
Main Wohi Hoon Anwar-E-Nim Jaan
Tumhain Itna Hosh Tha Jub KahanNa Chalao
Is Tarah Tum ZabanKaro
Mera Shukriya Meherban
Tumhein Baat Karna Sikha Diya...
Yeh Jo Halka Halka Saroor Hai,
Yeh Teri Nazar Ka Kasoor Hai Kay Sharab Peena Sikha Diya
Tuesday, April 10, 2007
yeh jo halka halka suroor hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment