It has been a long time since i have not written any poem .Maybe i am lost in this world .Maybe i dont know what to do or maybe i am just lazy .
Behta hua nadi ke tareh ,
jaane kahan aa gaya hoon mai ,
na koi manzil hai ,na koi raah hai
bas idhar se udhar ,
jaha le jaaye hawa
chale jata hoon mai .
wo samay tha kabhi jab chattane thi kai ,
wo samay tha kabhi jab ufaan tha,
badhe jaata tha bas aage he aage
kyonki aage he badhna manzil thi
ab na koi chattan hai
na he koi ufaan hai
jab kabhi thak jata hoon chalte chalte
tab khud se he takraata hoon mai.
koi mila raah mai to saath aa gaya
kuch waqt gujaar ke aage nekal gaye
kuch waqt gujaar ke peeche he reh gaye
mai bas chalta raha
aur nekal gaya itana aage
ke koi nahi raha ab saath mai,
kuch pal ke saath ke baad akela na reh jaaon,
ishliye saath se ghabrata hoon mai
chalte chalte behte behte
ek din mil jaaunga sagar se
aur ho jaaunga ek sabhi nadiyon se
door sabhi yaadon se
door sabhi riston se
jo saath rahe jo chale gaye
bhool kar ye sab baat
kar lunga samarpan
aatma visharjan
yahi soch chalta jata hoon mai
Sunday, April 20, 2008
A Poem
Posted by master at 5:42 PM 0 comments
Subscribe to:
Posts (Atom)